Showing posts with label Urdu Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazal. Show all posts

Muhabbat ha chubhan dil ke

Muhabbat sirf lifazi nahi.
ye is sy barh kar bhi boht kuch ha
Muhabbat hai chubhan dil ke.
kisi ko kab kahan ye raas hoti ha
Magar phr bhe
Muhabbat khaas hoti ha.
Musalsal intehaa’n ha ye
Muhabbat karny walay imteha’n daity hain jeewan bhar
Nateejay ke kabhe parwa ni karty
muhabbat dard hoti ha magar ye khud bht be dard hoti ha
Bicharna he agar likha ha muqaddar me
Tou is me dair kahay ke
Chalo is pal isi lamhay bichartay hain.

Nisaab e ishq me

Nisaab eishq me.
Ik lazmi mazmoon hota tha
Wafa unwaan tha jis ka
boht mushkil tha us ko yaad rakhna
aur
Bhula dena ni aasan tha jis ka
Magar is daur me mazmoon ab ye ikhtiyar ha
boht mushkil ha is ko yaad rakhna aur
bhula dena boht aasan ha jis ka
Nisaab e ishq mein.
Ik laazmi mazmoon hota tha.

Muhabbat ha kesi nadeeda se zanjeer ke sorat

Muhabbat ha kesi nadeeda se zanjeer ke sorat
Badan sy jo lipat kr.
Is ke azadi ko demak ke tarha sy chat leti ha
Muhabbat hai saza jesi ha
Saza bhe wo jo matti ke lehat tak sath deti ha
Muhabbat wasal sy mashrut mat jano
Azal sy furqat’on kay bab jesi ha
Muhabbat khawab jesi ha.

Larkiyo Muhabbat ky khawab dekhti kiun ho.

Larkiyo Muhabbat ky khawab dekhti kiun ho.
Tum ko kia ni maloom
Khawab dekhny wali jo bhe ankh hoti ha
Wo udas rehti hai, wo naras rehti hai
Ankh ky darech’on me jo bhe charag rakhty hein
Bad guman raat’on ka zaiqa wo chakty hein
Un ky dil ke rah’ein bhe be nishan rehti hein
Be aman rehti hein
Un ky ghar ky darwazey dastak’on sy anjany
Aur samat’on ke gali ashna si ahhat sey, ajnabi rehti ha
Un key sary jewan mein,ik kami si rehti hai
Larkiyo Muhabbat ky khawab dekhti kiun ho.
Tum ko kiya nahi maloom?

Muahbbat haar jati ha

Hawas jab dil me apna ghar bana leti ha
Hawas jab fikr ke matti me
Apna sir utha leti ha
Hawas ko zindagi mehvar kesi pal bhe banati ha
Hawas chaaro’n taraf ik aag si jis per lagati hai
hawas jab jeet ko sir per sajati ha
use lamhay
Muahbbat haar jati ha

Abhi Bhi Rok Lo Titli Ko Marnay Sy

Suno Jana.
muhabbat me kesi ko pany ke ujlat
Dikha kar kia mila tum ko.
kabhi socha.
kabhi socha k tum ny mujh ko bhe to khaali khaali
jhootay raisham k he dhaago’n me
Ulajhney ki saza de hai
Suno! Me ny tumhara kia bigara tha
Ye sab kuch kyun kiya tum ne?
Mujhy youn zindagi se badguma’n kar k bhala kia paa liya tum ny
Abhi bhi wakt hai tum rok lo, titli ko marny sy
Khushbu’on ko nikherny sy
Wagarna kal tumharay haath
yaado’n ki zara se raakh hogi aur kuch bhe to ni ho ga
Abhe bhe wakt hai tum rok lo
Titli Ko Marnay Se.

Azal sy ta abad jana’n

Azal sy ta abad jana’n
Falak k chaand taaro’n sy
Meri dharti k zarro’n sy
Paharo’n ke bulandi sy
Saba ke shokhio’n sy aur phoolo’n ke malamat sy
Tapish khursheed ke
aur
chaand ki ro pehli kirno’n sy
Ufaq ke wus’aton aur neelgoo’n gehray samander sy
Kahin ziada
kahin barh kar
Mujhy tum se Muabbat Hai.

Me kesy faramosh ker dun ab

Me kesy faramosh ker dun ab
Jis ny bachpan sy ab tak sambhala ha
Main bohat chota hua krta tha tab
Is ny mjhy senay sey lga ker pala ha
Mein bohat darta tha blaaon sy
Meri maa ny duaaon sy is dar ko nikala ha.

Wo sarey jahan ke khushian

Wo sarey jahan ke khushian
Wo tera Ek humsafar kehna
Wo sary zamaney ke mukhalfat
wo tera Ek qissa e muhabbat kehna
tujhy chahny walon kE kami na thE
wo tera Ek tujh ko jan kehna
kiyn badal gaya ha ab to meri jan
kahan gaya wo tera ek mujh ko chand kehna.

Qalam phir sy uthaa kar rakh diya ha

Qalam phir sy uthaa kar rakh diya ha
Kesi gham ny rula kar rakh diya ha
Yeh meri zeest me kiya morr aya ha
K andar tak hilaa ker rakh diya ha
Koi hakaa teri tasweer jaisa
Banana tha bana kar rakh diya ha
Has o hashak ka ik ghar tha apna
Hawaoun ny mitta kar rakh diya ha
Raha bus yaad Ek lamhaa k jis ny
Sehar sab kuch bhola kar rakh diya ha.

hushnaseeb ashikon me ye khaaksaar kahan

Khushnaseeb ashikon me ye khaaksaar kahan
Bhula jo deta un ko aakhir ye ikhtiyaar kahan
Hota ha chahat ka asar har tabeeyat py mukhtalif
Besabri dekho hum he ko ha, unko intezaar kahan
Ranj o gham sy labrez ik daastan apni zubaani
Bechna hamein bhe tha, laikin, kharidaar kahan
Raat gayi, baat gayi, saath gaye wo haseen pal
Khula ha dareecha aaj bhe, nigahen chaar kahan
Be mausam ki baarish hain bheegny se na katraa
Aayengy aisy mauke ‘Aashiq’ ab baar baar kahan.

Yaha’n ehal e dil toot’ain gey ni to

Yaha’n ehal e dil toot’ain gey ni to
Be wafaon ko aram kesay aay ga
Wo awara mizaaj kahin door ja basa ha
Aab meri saada’on per kesy aaye ga
Saans’on me basa ha yaad’on ki surat
Per is ko yakeen kesay aay ga
Me is ko kab ka bhol gaya hota ...
Masla is dil ka ha is ko qarar kesay aay ga

Her Ik Pal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Her Ik Pal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha
Meri Ghazal ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Banda Howa Hai Teri Arzo Sy Sara Badan
Her Ik Amal ka Taluq Tere Khayal Se Ha

Ye Tishnagi Tu Mujhe Jan Se Bhi Payari Ha
K Mere Thal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

K Meri Rouh Ke Sari Bahar Tuj Sy Ha
Kanwal Kanwal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Ye Zindagi Bhe Teri Ata Ay Jan e Jaa
Agar Ajal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Ye Meri Rouh Munqish Ha Teri Yaadon Sy
K Is Mehal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Firaq o Hijar K Ye Jis Qadar Masayel Hein
Sabhi K Hal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Ab tu keh do naa

Ab tu keh do naa
Main aj bohat udaas hun
Koi ni.
Jis se dil ki verani bant sakon
Koi ni.
Jo mere behte howe ansoun ko rok saky
Koi ni.
Jo ik zara harf tasali dy
Koi nahin,
Jo muskura k kahe
Apni hasaas ankhun ko taklef na dy
Yeh mooti mere dil pe girty hain
Koi ni.
Ager ha,Tu bolta kyun nahin ha.

Jo manany k fun sy waqif hun

Jo manany k fun sy waqif hun
Wohe aksar khafa hoty hain.
Jo Bary ba wafa sy dikhte hain
Wo bary bewafa bhe hoty hain..
Jo thehry hain zest ka hasil
Wohe lamhay saza bhe hoty hain.
Hum ko itne khabar ni hoti
Hum kesi ki dua bhi hoty hain.
Jo bicharny ka weham rakhty hain
Wohe aksar judaa bhe hoty hain.

Kon c chot kahan lage tujhy kia khabar

Kon c chot kahan lage tujhy kia khabar
Koi muhabbat me kitna barbad hua tujhy kia khabar
Koi kesi sy bichar jany kay gham me
Kitny bars’on roya tujhay kia khabar
Me ny tujhy bholny ke khatir
Kitna yad kia tujhy, tujhy kia khabar
Tu zamaney key rakh-rakhao mein ulajh gaya
Tera ‘Gul’ kitni bar jiya mara tujhyy kia khabar

Zindagi wafa na kary is ka gham ni

Zindagi wafa na kary is ka gham ni
Tu mujh sy bichar gay ye bei to kam ni
Meri maa kaha kerti thi tu bohat bahadur ha
Is lia aaj meri aankh pur-nam ni
Mein ny koshish to bohat ki lekin
Tujhay bhol jana bhe kesi mojzy sy kam ni
‘GUL’ is liye bhi udas rehta hai
Meray hisay ki khoshi’yan gam’on sy kam ni
Tum na mujhy kabhi chor kr jana
Is dil-e-bemar ko zamana chorny ka gham ni

Chupchap kahin rakha to ha

Chupchap kahin rakha to ha
Ek khwaab humny daikha to ha
Kal shaam yun he tanha baidkar
Tery bary me socha to ha
Doobte sooraj ugte chaand par
Tere liye paigaam bhaija to ha
Behti hawa,saagar ki lehron par
Tera hi naam likha to ha
Aasman ko jab gaur se dekha
Tera hi chehra dikha humko ha
Kareeb ka ni door ka sahe
Koi ek rishtaa banaa to ha

Kaha Din ko bhe ye ghar kis k liya

Kaha Din ko bhe ye ghar kis k liya veeran rehta ha
Yahan kia hum sa koi be sar o saamaan rehta ha
Dar o deewar sannaattay ki chaadar me hain khuwabeeda
Bhala aesi jaga zinda koi insan rehta hai
Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya
Yahan ik dil shikasta sahib e deewan rehta ha
Kaha Kia is k risht e daar bhe ni milny aaty
Jawaab aya  Ye sehra raat din sunsaan rehta ha
Kaha Is k ghar k aangan me hain kuch phoolon k poday bhe
Jawab aaya k khaali phir bhe her guldaan rehta hai.
Khuda ka shukr ha hum ik fiza me saans laity hain
Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai

Aanay wali thi khizan, maidaan khali

Aanay wali thi khizan, maidaan khali kar diya
Kal hawa e shab ny sara lawn khali ker diya
Hum tery khuwabon ki jannat se nikal kar aa gaye
Dekh, tera qasar e aali shaan khali ker diya
Dushmanon ny shist baandhi Khaima e umeed per
Doston ne darra e imkaan khali ker diya
Bantny nikla hai wo phoolon k tohfay sheher me
Is khabar per hum ne bhe guldaan khali ker diya
Le gaya wo sath apny, Dil ki sari ronaqain
Kis qadar ye sheher tha gunjaan khaali ker diya
Saari chirri’an urr gaee’n mujh ko akela chorr kar
Mery ghar ka sehen aur daalaan khali ker diya
Diary mein saray achy shair chunn kar likh liye
Aik larki ny mera deewan khali ker diya.