Showing posts with label barsaat Poetry. Show all posts
Showing posts with label barsaat Poetry. Show all posts

Muhabbat ha chubhan dil ke

Muhabbat sirf lifazi nahi.
ye is sy barh kar bhi boht kuch ha
Muhabbat hai chubhan dil ke.
kisi ko kab kahan ye raas hoti ha
Magar phr bhe
Muhabbat khaas hoti ha.
Musalsal intehaa’n ha ye
Muhabbat karny walay imteha’n daity hain jeewan bhar
Nateejay ke kabhe parwa ni karty
muhabbat dard hoti ha magar ye khud bht be dard hoti ha
Bicharna he agar likha ha muqaddar me
Tou is me dair kahay ke
Chalo is pal isi lamhay bichartay hain.

Wo sarey jahan ke khushian

Wo sarey jahan ke khushian
Wo tera Ek humsafar kehna
Wo sary zamaney ke mukhalfat
wo tera Ek qissa e muhabbat kehna
tujhy chahny walon kE kami na thE
wo tera Ek tujh ko jan kehna
kiyn badal gaya ha ab to meri jan
kahan gaya wo tera ek mujh ko chand kehna.

Doob jana to koi baat ni hai laiken

Doob jana to koi baat ni hai laiken

Bais e sharam hi toofa’n sy haras’an hona..

Ab tu keh do naa

Ab tu keh do naa
Main aj bohat udaas hun
Koi ni.
Jis se dil ki verani bant sakon
Koi ni.
Jo mere behte howe ansoun ko rok saky
Koi ni.
Jo ik zara harf tasali dy
Koi nahin,
Jo muskura k kahe
Apni hasaas ankhun ko taklef na dy
Yeh mooti mere dil pe girty hain
Koi ni.
Ager ha,Tu bolta kyun nahin ha.

Kon c chot kahan lage tujhy kia khabar

Kon c chot kahan lage tujhy kia khabar
Koi muhabbat me kitna barbad hua tujhy kia khabar
Koi kesi sy bichar jany kay gham me
Kitny bars’on roya tujhay kia khabar
Me ny tujhy bholny ke khatir
Kitna yad kia tujhy, tujhy kia khabar
Tu zamaney key rakh-rakhao mein ulajh gaya
Tera ‘Gul’ kitni bar jiya mara tujhyy kia khabar

Chupky Chupky Ro Lena

Chupky Chupky Ro Lena
Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kesi Ke Aati Ho
Tub Kamry Mi Bund Ho Jana
Aur Chupky Chupky Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Mi Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupky Chupky Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Soty Ho
Tub Moan Pe Takiya Rakh Lena
Aur Chupky Chupky Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Ge
Tum Samny Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupky Chupky Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daly
Aur Ashk Bhe Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupky Chupky Roo Lena

Chupchap kahin rakha to ha

Chupchap kahin rakha to ha
Ek khwaab humny daikha to ha
Kal shaam yun he tanha baidkar
Tery bary me socha to ha
Doobte sooraj ugte chaand par
Tere liye paigaam bhaija to ha
Behti hawa,saagar ki lehron par
Tera hi naam likha to ha
Aasman ko jab gaur se dekha
Tera hi chehra dikha humko ha
Kareeb ka ni door ka sahe
Koi ek rishtaa banaa to ha

Kaha Din ko bhe ye ghar kis k liya

Kaha Din ko bhe ye ghar kis k liya veeran rehta ha
Yahan kia hum sa koi be sar o saamaan rehta ha
Dar o deewar sannaattay ki chaadar me hain khuwabeeda
Bhala aesi jaga zinda koi insan rehta hai
Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya
Yahan ik dil shikasta sahib e deewan rehta ha
Kaha Kia is k risht e daar bhe ni milny aaty
Jawaab aya  Ye sehra raat din sunsaan rehta ha
Kaha Is k ghar k aangan me hain kuch phoolon k poday bhe
Jawab aaya k khaali phir bhe her guldaan rehta hai.
Khuda ka shukr ha hum ik fiza me saans laity hain
Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai

Aanay wali thi khizan, maidaan khali

Aanay wali thi khizan, maidaan khali kar diya
Kal hawa e shab ny sara lawn khali ker diya
Hum tery khuwabon ki jannat se nikal kar aa gaye
Dekh, tera qasar e aali shaan khali ker diya
Dushmanon ny shist baandhi Khaima e umeed per
Doston ne darra e imkaan khali ker diya
Bantny nikla hai wo phoolon k tohfay sheher me
Is khabar per hum ne bhe guldaan khali ker diya
Le gaya wo sath apny, Dil ki sari ronaqain
Kis qadar ye sheher tha gunjaan khaali ker diya
Saari chirri’an urr gaee’n mujh ko akela chorr kar
Mery ghar ka sehen aur daalaan khali ker diya
Diary mein saray achy shair chunn kar likh liye
Aik larki ny mera deewan khali ker diya.

Aaj is umeed me khari ho.

Aaj is umeed me khari ho..
Kal in ki tum ho jao gi
Hum pagal ho jain gy in gliyon me
Aur tum pardais chali jao ge
Jb kabhi louto ge pardais sy
Tum hum ko na pehcan pao ge
tum bhe to inhi logon me rahi ho
tum bhe is zamany ki reet nibhao ge
sanson sy bhe mujh ko kareeb pao ge
jb kabhi ankhain band kr ky so jao ge
‘Gul’ mar kr bhi tera intezar karay ga
Kay kab janazy per aa key ro ge aur rulao ge

Halki halki barish the

Kal halki halki barish the
Kal sard hawa ka raqs bhe tha
Kal phool bhe nikhry nikhry thy
Kal un py aap ka aks bhe tha
Kal badal kalay gehry thay
Kal chand pay lakhon pahray thy
Kuch tukray aap ke yaad kay
Bari dair say dil main thehry thy
Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak ye na suljhi thin
Kal yaad bohut tum aye thy
Kal yaad boht tum aay thy.

Zamana isey lakh bura kahey

Zamana isy lakh bura kahy
Laiken wo bura nii hai
Is dil mein kuch aas baki hai
Abhe ye sara jala nai hai
Milna hai isay kabhi laiken
Wo abhi mila nai hai
Jis say zamana dekhta hai isy
In ankhon say to dekhta hi nai hai.

Muhabat hadisaa ha

Muhabat hadisaa ha
Hadsy sy bach nikalny ke
Koi tadbeer kar lo is sy pehlay khuwab ho jao
Jisy hum hadsa kehty hein
Jewan ko ghari bhar mein
Mita ker khak kerta ha
Koi ilzam dharta ha
Kabhi maazorion kay jal mii qaidi
Bana ker choor daita ha
Muhabbat hadsaa hai
Hadsy sey bach nikalney ke
Koi tadbeer kar lo is sy pehlay khuwab ho jao.

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhe

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhe Jazbaat Main

Aank Sai Bhi Chand Boondin Gir Pari Barsaat Main.