Muhabbat ha chubhan dil ke

Muhabbat sirf lifazi nahi.
ye is sy barh kar bhi boht kuch ha
Muhabbat hai chubhan dil ke.
kisi ko kab kahan ye raas hoti ha
Magar phr bhe
Muhabbat khaas hoti ha.
Musalsal intehaa’n ha ye
Muhabbat karny walay imteha’n daity hain jeewan bhar
Nateejay ke kabhe parwa ni karty
muhabbat dard hoti ha magar ye khud bht be dard hoti ha
Bicharna he agar likha ha muqaddar me
Tou is me dair kahay ke
Chalo is pal isi lamhay bichartay hain.

Nisaab e ishq me

Nisaab eishq me.
Ik lazmi mazmoon hota tha
Wafa unwaan tha jis ka
boht mushkil tha us ko yaad rakhna
aur
Bhula dena ni aasan tha jis ka
Magar is daur me mazmoon ab ye ikhtiyar ha
boht mushkil ha is ko yaad rakhna aur
bhula dena boht aasan ha jis ka
Nisaab e ishq mein.
Ik laazmi mazmoon hota tha.

Muhabbat ha kesi nadeeda se zanjeer ke sorat

Muhabbat ha kesi nadeeda se zanjeer ke sorat
Badan sy jo lipat kr.
Is ke azadi ko demak ke tarha sy chat leti ha
Muhabbat hai saza jesi ha
Saza bhe wo jo matti ke lehat tak sath deti ha
Muhabbat wasal sy mashrut mat jano
Azal sy furqat’on kay bab jesi ha
Muhabbat khawab jesi ha.

Larkiyo Muhabbat ky khawab dekhti kiun ho.

Larkiyo Muhabbat ky khawab dekhti kiun ho.
Tum ko kia ni maloom
Khawab dekhny wali jo bhe ankh hoti ha
Wo udas rehti hai, wo naras rehti hai
Ankh ky darech’on me jo bhe charag rakhty hein
Bad guman raat’on ka zaiqa wo chakty hein
Un ky dil ke rah’ein bhe be nishan rehti hein
Be aman rehti hein
Un ky ghar ky darwazey dastak’on sy anjany
Aur samat’on ke gali ashna si ahhat sey, ajnabi rehti ha
Un key sary jewan mein,ik kami si rehti hai
Larkiyo Muhabbat ky khawab dekhti kiun ho.
Tum ko kiya nahi maloom?

Muahbbat haar jati ha

Hawas jab dil me apna ghar bana leti ha
Hawas jab fikr ke matti me
Apna sir utha leti ha
Hawas ko zindagi mehvar kesi pal bhe banati ha
Hawas chaaro’n taraf ik aag si jis per lagati hai
hawas jab jeet ko sir per sajati ha
use lamhay
Muahbbat haar jati ha

Abhi Bhi Rok Lo Titli Ko Marnay Sy

Suno Jana.
muhabbat me kesi ko pany ke ujlat
Dikha kar kia mila tum ko.
kabhi socha.
kabhi socha k tum ny mujh ko bhe to khaali khaali
jhootay raisham k he dhaago’n me
Ulajhney ki saza de hai
Suno! Me ny tumhara kia bigara tha
Ye sab kuch kyun kiya tum ne?
Mujhy youn zindagi se badguma’n kar k bhala kia paa liya tum ny
Abhi bhi wakt hai tum rok lo, titli ko marny sy
Khushbu’on ko nikherny sy
Wagarna kal tumharay haath
yaado’n ki zara se raakh hogi aur kuch bhe to ni ho ga
Abhe bhe wakt hai tum rok lo
Titli Ko Marnay Se.

Azal sy ta abad jana’n

Azal sy ta abad jana’n
Falak k chaand taaro’n sy
Meri dharti k zarro’n sy
Paharo’n ke bulandi sy
Saba ke shokhio’n sy aur phoolo’n ke malamat sy
Tapish khursheed ke
aur
chaand ki ro pehli kirno’n sy
Ufaq ke wus’aton aur neelgoo’n gehray samander sy
Kahin ziada
kahin barh kar
Mujhy tum se Muabbat Hai.

Me kesy faramosh ker dun ab

Me kesy faramosh ker dun ab
Jis ny bachpan sy ab tak sambhala ha
Main bohat chota hua krta tha tab
Is ny mjhy senay sey lga ker pala ha
Mein bohat darta tha blaaon sy
Meri maa ny duaaon sy is dar ko nikala ha.

Zameer zinda ni aftab e hasher sy kam

Zameer zinda ni aftab e hasher sy kam

K bach k dhoop sy ab jal raha hun chhaon me.

Wo sarey jahan ke khushian

Wo sarey jahan ke khushian
Wo tera Ek humsafar kehna
Wo sary zamaney ke mukhalfat
wo tera Ek qissa e muhabbat kehna
tujhy chahny walon kE kami na thE
wo tera Ek tujh ko jan kehna
kiyn badal gaya ha ab to meri jan
kahan gaya wo tera ek mujh ko chand kehna.