Showing posts with label Ishq Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ishq Poetry. Show all posts

Muhabbat ha chubhan dil ke

Muhabbat sirf lifazi nahi.
ye is sy barh kar bhi boht kuch ha
Muhabbat hai chubhan dil ke.
kisi ko kab kahan ye raas hoti ha
Magar phr bhe
Muhabbat khaas hoti ha.
Musalsal intehaa’n ha ye
Muhabbat karny walay imteha’n daity hain jeewan bhar
Nateejay ke kabhe parwa ni karty
muhabbat dard hoti ha magar ye khud bht be dard hoti ha
Bicharna he agar likha ha muqaddar me
Tou is me dair kahay ke
Chalo is pal isi lamhay bichartay hain.

Nisaab e ishq me

Nisaab eishq me.
Ik lazmi mazmoon hota tha
Wafa unwaan tha jis ka
boht mushkil tha us ko yaad rakhna
aur
Bhula dena ni aasan tha jis ka
Magar is daur me mazmoon ab ye ikhtiyar ha
boht mushkil ha is ko yaad rakhna aur
bhula dena boht aasan ha jis ka
Nisaab e ishq mein.
Ik laazmi mazmoon hota tha.

Zameer zinda ni aftab e hasher sy kam

Zameer zinda ni aftab e hasher sy kam

K bach k dhoop sy ab jal raha hun chhaon me.

Wo sarey jahan ke khushian

Wo sarey jahan ke khushian
Wo tera Ek humsafar kehna
Wo sary zamaney ke mukhalfat
wo tera Ek qissa e muhabbat kehna
tujhy chahny walon kE kami na thE
wo tera Ek tujh ko jan kehna
kiyn badal gaya ha ab to meri jan
kahan gaya wo tera ek mujh ko chand kehna.

hushnaseeb ashikon me ye khaaksaar kahan

Khushnaseeb ashikon me ye khaaksaar kahan
Bhula jo deta un ko aakhir ye ikhtiyaar kahan
Hota ha chahat ka asar har tabeeyat py mukhtalif
Besabri dekho hum he ko ha, unko intezaar kahan
Ranj o gham sy labrez ik daastan apni zubaani
Bechna hamein bhe tha, laikin, kharidaar kahan
Raat gayi, baat gayi, saath gaye wo haseen pal
Khula ha dareecha aaj bhe, nigahen chaar kahan
Be mausam ki baarish hain bheegny se na katraa
Aayengy aisy mauke ‘Aashiq’ ab baar baar kahan.

Yaha’n ehal e dil toot’ain gey ni to

Yaha’n ehal e dil toot’ain gey ni to
Be wafaon ko aram kesay aay ga
Wo awara mizaaj kahin door ja basa ha
Aab meri saada’on per kesy aaye ga
Saans’on me basa ha yaad’on ki surat
Per is ko yakeen kesay aay ga
Me is ko kab ka bhol gaya hota ...
Masla is dil ka ha is ko qarar kesay aay ga

Her Ik Pal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Her Ik Pal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha
Meri Ghazal ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Banda Howa Hai Teri Arzo Sy Sara Badan
Her Ik Amal ka Taluq Tere Khayal Se Ha

Ye Tishnagi Tu Mujhe Jan Se Bhi Payari Ha
K Mere Thal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

K Meri Rouh Ke Sari Bahar Tuj Sy Ha
Kanwal Kanwal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Ye Zindagi Bhe Teri Ata Ay Jan e Jaa
Agar Ajal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Ye Meri Rouh Munqish Ha Teri Yaadon Sy
K Is Mehal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Firaq o Hijar K Ye Jis Qadar Masayel Hein
Sabhi K Hal Ka Taluq Tery Khayal Sy Ha

Shab bhar teri gali me bhatakta hi Eik shakhs.

Shab bhar teri gali me bhatakta hi Eik shakhs.

waqt mely to raat ko ghar sy nikal ker daikh.

Shehar farhaad ky mathy py likha ha kis ny.

Shehar farhaad ky mathy py likha ha kis ny.

Apny say ko bhe zanjeer pehnay rakhna.

Jo manany k fun sy waqif hun

Jo manany k fun sy waqif hun
Wohe aksar khafa hoty hain.
Jo Bary ba wafa sy dikhte hain
Wo bary bewafa bhe hoty hain..
Jo thehry hain zest ka hasil
Wohe lamhay saza bhe hoty hain.
Hum ko itne khabar ni hoti
Hum kesi ki dua bhi hoty hain.
Jo bicharny ka weham rakhty hain
Wohe aksar judaa bhe hoty hain.

Chupky Chupky Ro Lena

Chupky Chupky Ro Lena
Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kesi Ke Aati Ho
Tub Kamry Mi Bund Ho Jana
Aur Chupky Chupky Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Mi Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupky Chupky Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Soty Ho
Tub Moan Pe Takiya Rakh Lena
Aur Chupky Chupky Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Ge
Tum Samny Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupky Chupky Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daly
Aur Ashk Bhe Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupky Chupky Roo Lena

Aik Baar In Honton syY Mujhy Apna keh Do

Aik Baar In Honton syY Mujhy Apna keh Do

Pher Mehfil Me Raqeeban Ka Tamaasha Daikho..

Suna karty thy jin khushion ka haal

Suna karty thy jin khushion ka haal
Aaj wohe jhonprian barbaad ho gaeen
Jab sy tery ghum ko basaya hai dil me
Mushkilain to boht aain magar aasan ho gaeen
Teri umeed aur tery intezaar k aansu
Boht hasratain milen magar fanaa ho gaeen
Jab bhi dekha kesi ujerty huy ko ‘dil’
Ye aahain uth uth k toofan ho gaeen.

Mohbtain jaan e aziz sath hain

Yun to teri Mohbtain  jaan e aziz sath hain
Apni bhi kuch qabahatain jaan e aziz sath hain
Sirf ye ik ghazal ni, is mi hain kuch safaiyan
Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan e- ziz sath hain
Jism he manzil, talab apny khayal ke nahi
Aur bhe kuch zarurat’ain, jaan e aziz sath hain
Apny lia to aik bhe, lamha jaan e fiza ni
Apni kahan rafaqat’ain jaan e aziz sath hain
Aisay bandhay hua hain hum, sham o seher ke do0r me
Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Tum bhe ho is sy ba khabar,hum hain kahan k mo’tabar
Apni tamam qeemat’ain, jaan e aziz sath hain
Dil tou behel he jay ga, tanha safar me hum nahi
Guzri hui kaee raat’ain, jaan e aziz sath hain.

Zamana kia kahy ga aap ky tarz e tagaful per

Zamana kia kahy ga aap ky tarz e tagaful per

Tumhein meri tabahi ke qasam, rok hansi apni..

masla ye nai k teri hoon

masla ye nai k teri hoon 

masla ye hai k sirf teri hoon